Monday, May 6, 2019

Blogger Blog Ko Google Adsence Se Monetize Kaise Kare-How To Monetize Your Blogger Blog With Google Adsense-Farooq Arain

Blogger  Blog ko Google Adsence Se Monetize Kaise Kare

Aslam o Alaikum  dosto aap log kaise ho main theek hoon aur  umeed karta hoon keh aap sub bhi achhe se hon ge,Aaj ka topic hain ke Hum apne blog ko monetize kaise karen,Agar ap bhi ye janna chahte hain to chalo shuru karte hain,
Blogger  Blog Ko Google Adsence Se Monetize Kaise Kare-How To Monetize Your Blogger Blog With Google Adsense-Farooq Arain
Blogger  Blog ko Google Adsence Se Monetize Kaise Kare

How To Monetize Your Blogger Blog With Google AdSense

Sub se pehle aap ko bta det a hoon keh Blogger mein aap apne blog per Google Adsence aur dusre network ke Add laga kar monetize kar sakte hain aur paise kam sakte hain. Har koi apne blog se paise kama sakta hai,Agar aap bhi apne blog se paise kmana chahe hain to aap bhi kama sakte hain. Aaj main aap ko btane wala hoon ke aap apne blog ko Google Adsence se  monitize kaise karen.
Sub se peh aap Google adsence pe apna account create karna hoga.

Monetize Your Blogger Blog Step By Step

  1. Blogger.com pe jayen Aur Sign.In kar len.
  2.  Top left side pe Down Arrow  pe click karen aur Blog list mein se apne blogg ko select karen aur Jis pe aap Add lgana chahte hai.
  3.  Left side Menu mein Earning  pe click karen.
  4.  Us ke baad aap Sign up for Google Adsence pe click kaern. Agar aap ko Sign up for AdSense ka Button nahi mil raha to aap ka Blog Adsence ke liye Qualify nahi hai.
  5.  Sign up for Google Adsence pe click karne ke baad aapke samne ek page open hoga,Iss page mein aap ke Email dekhne ko milen ge.apne Emal select karen 
  6.  Apne email pe click karne ke baad ek page hoga,Jis mein aap ko ek form dekhne ko mile ga.Form mein aapko Blog URL dekhne ko mile ga,Iss form ko file karen aap se Terms & Conditions aur Country etc puchha jay ga fill karne ke baad niche Create Account pe click karen
  7. Creat account pe click karne ke baad ek page open hoga.Get Started pe click karne us ke baad aap ko ek form dekhne ko mile,Iss mein aap se  Name,Address,City,Postal code or Phone number (optional)  fill karna hoga. Us ke baad Submit pe click karen.
  8.  Submit pr Click karne ke baad ek massage show ho ga jaise keh Redirecting you to your host ke niche message likha mile ga,Aap ne us niche RDIRECT pe click karna hai.
  9.  RDIRECT pe click karne ke baad ye RDIRECT karke aap ke blog per le aaye ga aur Congratulations message show kare ga,Aap ne CONTINUE  pe click karn.
  10.  Bus itna hi kaam tha aur aap ke blog per Google adsense team visit kare gi aur check kare gi ke aap ka content copyright hai ya nahi visitor kitne hai, template kaise hai,Sub kuch check karne ke baad,Agar sub kuch un ki policy ke hisab se hua to aap email karde gi keh aap ka account approval ho gaya hai aur ab aap ads lga sakte hain
Note: Aapke Application ko review hone me kam se kam 48 hours lagenge.

To dosto aaj ki post men bta dy akeh Blogger blog ko Google adsence se monitize kiya jata hai to aaj ki post mein bus itna hi tha,Aap ko ye post kaise lagi comments mein btana,Milte hain next article mein apna khayal rakhna.Good Buy

1 comment:

  1. Effortlessly these pages will likely definitely probably become well-known concerning several sites people, for the careful content or even thoughts. Textile Designing

    ReplyDelete