Monday, May 6, 2019

What is Google Adsense-Google AdSense kya hai-Farooq Arain

 What is Google Adsense

Aslam o Alaikum dosto aap log kaise ho main theek hoon umeed karta hon ke aap sub bhi achhe se hon ge, To aaj ka topic hain ke Google Adsece kia hai,Agar aap bhi is topic ke bare mein janna chahte hai to chalo shuru karte hain.
What is Google Adsense-Google AdSense kya hai-Farooq Arain
What is Google Adsense-Google AdSense kya hai
Sub se pehel aap ko bta denta hoon keh bohut se log  jab apne blog,website ya Youtube Channel create karta hai to  us ka Main maqsad  uss se Earnign karna hota hai,Iss liye jab who ,website ya Youtube Channel ko create karne ke baad us pe apna content dalte hain Aur phir  monetize karna chahte hain,to main aap ko bta doon ke blog ya website ko monetize karne ke liye bogut se tariqe hain , bohut si website/ third-party products or services hain jo app ko add dete hain aap iss add ko apne blog mein lgate hain aur phir uss se earning karte hai,Lekin us sub mein se best aur popular aur high earning dene wala Google adsence hai,Apne blog ya website se earning karne ka sub se achha tariqa Google adsence hai , To chalo ab aap ko bta dete hain ke Adsence kya hai.

What is AdSense?

Google adsence Google ka ek product hai aur ye ek advertising service hai jo aap ko add deta hai,aur uss add ko aap apne blog ya website Aur Youtube mein lagate hain, aur uss ke aap ki earnign hoti hai,ek bat aap ko bta doon ke Google adsence aap ko add pe click ke paise deta hai jaise keh aap ne apne website mein add lga dete hain us ke baad jab aap ki website mein visitor aayen ge,Agar aap ne apne website mein achha Unique post hoga ga aur zyada se zyada post hoga to visitor bhi bohut zyada aayen ge,aur jab koi user aap ki add pe click karta hia to aap ko us click ke paise milte hai,yah pe aap ko bta doon ke aap ne khud click nahi aur na hi kisi se click karwana hai,Agar aap esa karo ge to self click mana jay ga.

Google adsence ke add har kism ke content ke liye available hai, Aap ko content  Unique  hona chahiya, Agar aap ko content copy right ya duplicate mein aaye ga to hosakta hai ke aap ko Google Adsence ka approval na mile.Audult content pe bhi approval nahi mile ga.aap ka content kisi type ka bhi ho unique hona chahiya aur high quality hona chahiye,aap apne visitor ko who content den jo un ko chahiye.Agar aap ka content Google Adsence ki policy ke hisab se hoga to aap ko 100% Approva mil jay ga.

Google adsense approval 2019 for youtube
Google adsence ki jo new policy aayi hai us ke hisab se agar aap ko paas 1000 subscribers aur 4000 gante watch time ho us ke baad Google Adsence ka approval mile ga aur monitization on kia jay ga.

Google adsense approval  blogg ya website
Agar aap ke paas 10 se 15 artical bhi hain aur us pe acha khasa traffic aa raha hai to aap ko approval mil jay ga. Main aap se kehta hoon ke aap zyada se zyada Artical likhne aur phir Adsence ke liye aaply karen.Aap ki website mein achha traffic aane lage ga aur Google adsence ka approval bhi mil jay ga.
To dosto aaj ki post mein bus itna hi tha Aap ko ye post kaisi lagi comments box mein btana. Apna khayal rakhna milte hain next artical mein.Good bye

3 comments:

  1. Rapidly this kind of internet site can easily definitely recognition among virtually all blogging and site-building and also site-building individuals, because careful content or simply opinions. Textile Designing

    ReplyDelete
  2. I would like to say that this blog really convinced me to do it! Thanks, very good post. google ads tips

    ReplyDelete