Monday, May 6, 2019

Blogger Blog ko Delete Aur Recover Kaise Kare-How to Delete and Recover a Blog on Blogger-Farooq Arain

 How to Delete and Recover a Blog on Blogger

Aslam o Alaikum dosto aap log kaise ho main theek hoon aur umeed karta hoon ke aap sub achhe se hon ge aaj ka topic han ke  Ham apne Blogg ko Delete kaise karen aur Delete blog ko recover kaise karen.
 Dosto sub se phele aap ko bta doon ke Blogger Google ka free product hai Iss liye agar aap Blgger pe apne blog create karte hai to aap aap ko koi paise nahi dene parte,Issi liye jo new blogger hote hain who habut sare topic pe hahut se Blog bna  lete hain,Blog create karne ke baad who sabhi blog ko handle nahi kar pate,
Dosto agar aap ne aese topic pe blog create karte hai jis mein aap ka interest no ho to Shuru Shuru mein aap us pe kaam kare ge jitna aap ko basic knowledge ho ga aur ke baad aap us pe kaam karna chor do ge.Aesa bahut logon ke sath hota hai.
Dosto Agar aap Blog se paise kamna chahte hain to Aap Ek topic ko select kare jis mein aapka Interest ho aur phir us topic pe apne blog create karen,Blog create karne ke baas us blog pe achhe se kaam kare aur earning kare.
Blogger Blog ko Delete Aur Recover Kaise Kare-How to Delete and Recover a Blog on Blogger-Farooq Arain
How to Delete and Recover a Blog on Blogger

Blogger Blog ko Delete Kaise Kare


Dost aaj ke Article mein main aap ko btane wala hoon ke hum apne blog ko kaise Delete karen aur kaise Delete kiye Blog ko Recover kare Dosto Agar aap ye janna chahte hain To iss Article ko last tak read kare.
Bahut se user apne blogg ko create kar lete hain aur phir usko delete kerte mein problem  hoti hai,Aur kuch user ko ke new hote hain aur who galti se apne blogg ko delete kar kar dete hain aur phir Recover karne mein problem hoti hai. aaj main aap ko btane wala hoon keh kaise blog ko delete kya jata hai aur kaise Recover kia jata hai Agar aap bhi iss topic ke bare mien janna chahte hai to chalo shuru karte hain.

How to Delete  a Blog on Blogger Step By Step

  • Sub se pehle aap ko apne blogger.com pe jana ho ga aur sign in hona hoga.
  • Top left side mein  Dwon arrow pe click karen aur apne blog ko select karen jis ko aap delete karna chahte hai,
  • Left side mein Setting pe click karen  aur phir Other pe click karen
  • Us ke baad delete blog pe click karen jaise ke aap niche photo mein dekh sakte hai
  • hain
    Blogger Blog ko Delete Aur Recover Kaise Kare-How to Delete and Recover a Blog on Blogger-Farooq Arain
    How to Delete and Recover a Blog on Blogger
  •  Delete pe  click karne ke baad phir se ek secreen dekhne ko mile aap ko Delete This blog pe click karna hoga. jaise ke niche poto mein dekh sakte hain
Blogger Blog ko Delete Aur Recover Kaise Kare-How to Delete and Recover a Blog on Blogger-Farooq Arain
How to Delete and Recover a Blog on Blogger-blogger blog ko delete aur Recover kaise kare-Farooq Arain
  •  Aap ka blog delete hojay ga. Yahan pe aap ko bta doon ke Delete kia gya blog ko aap 90 din mein restore kar sakte hain.

 How to  Recover a Blog on Blogger

  • Blogger pe jana ho ga aur sign in hona hoga.
  • Top left side mein  Dwon arrow pe click karen aur apne blog ko select karen jis ko aap Recover karna chahte hai, aapke samne ek secreen open jo jay gi jaise  ke aap niche kekh sakte hain
Yad rehe ke delete kiya gaya blog Down arrow mein blog list mein sub se aakher mein mile ga.
Blogger Blog ko Delete Aur Recover Kaise Kare-How to Delete and Recover a Blog on Blogger-Farooq Arain
How to Delete and Recover a Blog on Blogger-blogger blog ko delete aur recover kaise kare-JPG-Farooq Arain
  • Aap ko Undelete pe click kanre aap ko blog Recover ho jay ga.
To dosto aaj ki post men bus itna hi aap ko ye post kaisi lagi comments  mein btana .Milte hain next Article mein apna khayal rakhna Good Buy

1 comment:

  1. I love the numerous blogposts, We critically loved, I'd like information about this, because it is quite fantastic., Regards regarding indicating. Textile Designing

    ReplyDelete