Monday, May 6, 2019

Blog Ko Google Webmaster Tool Mein Submit Kaise Kare-2019-how to submit Blogger blog in Google Webmaster Tool-Farooq Arain

Blogger Blog Ko Google Webmaster Tool Mein Submit Kaise Kare

Aslam o Alaikum dosto aap log kaise ho main theek hoon aur umeed karta hoon keh aap sub bhi achhe se hon ge.Dosto aap ka topic blogger ke liya sub se inportant hone wala hai,kyun ke Blog mein sub se zyada traffic Google se hi aata hai.Agar aap bhi apne blog pe traffic lana chahte hain to to jaldi se apne blog ko Google Webmaster Tool Mein Submit karna hoga.Aaj ka topic hai keh Blogger blog ko Gooogle Webmaster tool mein submit kaise karen.
Sub se pehle aapko bta deta hoon ke aap Direct Google Webmaster Tool ki website mein jake bhi apne blog ko add kar ke submit kar sakte hai lekin main aap ko pehle ye btane wala hoon ke aap blog se kaise Google Webmaster Tool mein aate hai aur phir btaun ga ke aap Google Webmaster Tool ki website se kaise blog URL ko Direct add kar ke submit kar sakte hainm,Agar aap bhi ye janna chahte hain to chalo shuru karte hai,
Blog Ko Google Webmaster Tool Mein Submit Kaise Kare-2019-how to submit Blogger blog in Google Webmaster Tool-Farooq Arain
how to submit Blogger blog in Google Webmaster Tool

Blogger Blog Submit Google Webmaster Tool Step By Step

  1. Blogger.com pe jayen aur Sign in ho jayen.
  2.  Top left side mein Down Arrow mein apne blog ko select karen jis ko aap Google Search Console mein submit karne wale hai
  3.  Left side Menu mein se Setting pe click karen or phir Search Preferences pe click karen.
  4.  Search Preferences ke page mein se Google Search Console  ke side mein Edit pe click karen.
  5.  Ek page open ho jay ga,Righ side mein ADD A PROPERTY pe click karen
  6.  Ek Box open hoga, Iss box mein apne blog ka URL dalne ke baad Add pe click karna hai.
  7.  Ek page open hoga us mein Left side mein Dashboard ke niche Message pe click kare aur aap ko         Improve the search presence of https:// Your Blog neme.com/      dekhne ko mile ga us pe click karen
  8.  Ek page open hoga aap ko Submit a sitemap file ke samne Submit a sitemap  pe click  karen jaise ke aap niche photo mein dekh sakte hain.
  9.  
    how to submit Blogger blog in Google Webmaster Tool-Blog Ko Google Webmaster Tool Mein Submit Kaise Kare-JPG-Farooq Arain
    how to submit blog in Google Webmaster Tool
  10.   Aap Google Search Console  ki website mein chale jayen ge
  11. Google Search Console  ki website  open ho jay gi apne Gmail ID se Sign.In kar len.Google Search Console ki website open hojey gi,Top left side mein aap ko Blog URL dekhne ko mile ga.
  12.  Ab aap apne blog URL ko verify karna hai.Verify karne ke liye Liye Setting pe click karna hai aur Ownership verification pe click karna hai,Aur HTML tag pe click karna hai aap ko HTML Code mile ga us ko copy kar lena hai aur apna blog open karna hai aur Left side mein Theme pe click karna hai aur Uss ke baad Edit HTML pe click karna hai
  13.  Edit HTML pe click karne ke baad Blog theme open ho jay gi,Aap ko  Sub se uper   <head>    dekhne ko mile ga <head> ke aage enter karen aur   <head> ke niche uss code ko past kar dena hai aur uper Save theme pe click karna hai.wapic Google Search Console mein jana hai aur verify pe clic karna hai,Aap ka blog verify ho jay ga.
  14.  Ab aap ko Sitemap pe click karna hai aur aap ko Add a new sitemap ke niche aap ke blog ka url mile ga url ke aage aap ko Sirf sitemap.xml likha hoga aur SUBMIT  pe click karna hai. Aur us ke baad aap ko sitemap submited successfully ek message mie ga  niche GoT IT pe click karna hai.
  15.  Aap ka blog  Google Search Console mein submit ho gaya hai aur aapke  blog mein jitne post hain who bhi bta de ga.

    Blogger Blog Submit  Derict Google Webmaster Tool Step By Step

  1. Sub se pehle aap ko Google Webmaster Tool  ki website mein jana hai,Google Webmaster Tool  ki website pe jane ke liye Click Here pe click karen.
  2.  Google Webmaster Tool pe jane ke baad aap Apne Gmail ID se Sign.In kar lena hai,
  3.  Google Search Console ki website open hojey gi,Us ke baad apne Blog URL Add karna hai or CONTINUE pe click karna hai
  4.  Google Search Console ke main  page open hojay ga or Top left side mein aap ko Blog URL dekhne ko mile ga.
  5.  Ab aap apne blog URL ko verify karna hai.Verify karne ke liye Liye Setting pe click karna hai
  6.  Setting pe click karne ke baad Ownership verification pe click karna hai,Aur HTML tag pe click karna hai aap ko HTML Code mile ga us ko copy kar lena hai
  7.  Apna blog open karna hai aur Left side mein Theme pe click karna hai aur Uss ke baad Edit HTML pe click karna hai
  8.  Edit HTML pe click karne ke baad Blog theme open ho jay gi,Aap ko  Sub se uper   <head>    dekhne ko mile ga <head> ke aage enter karen aur   <head> ke niche uss code ko past kar dena hai aur uper Save theme pe click karna hai.wapic Google Search Console mein jana hai aur verify pe clic karna hai,Aap ka blog verify ho jay ga.
  9.  Ab aap ko Google Webmaster Tool ke left side Menu mein Sitemap pe click karna hai aur aap ko Add a new sitemap ke niche aap ke blog ka url mile ga url ke aage aap Sirf sitemap.xml likha hoga aur SUBMIT  pe click karna hai. Aur us ke baad aap ko sitemap submited successfully  ek  message mie ga  niche GoT IT pe click karna hai.
Aap ka blog  Google Search Console mein submit ho gaya hai aur aapke  blog mein jitne post hain who bhi bta de ga.

To dosto aaj ki post mein bus itna hi tha aap ko ye post kaisi lagi comment mein btana,Milte hain next atricle mein,Apna khayal rakhna,Good Buy.

1 comment:

  1. Anytime we grew to become in your website with specific interest very easily a little bit of little bit submits. Satisfying way of long haul, I'm going to be book-marking right now possess versions achieve comes correct upward. Vector Logo Design

    ReplyDelete