Monday, May 6, 2019

Blogger Mein New Post Kaise Kare Full Guide-how to Create a new post in Blogger-Farooq Arain

Blogger Mein New Post Kaise Kare

Aslam o Alaikum dosto aap log kaise ho umeed karta hoon ke aap sub achhe se hon ge, Aaj ka topic hia ke Blogger mein New post ko kaise create  karen Agar aap bhi jnana chahte hain to chalo shuru karte hain
.Agar aap bhi ye janna chahte hain to chalo shuru karte hain.
Create a New Post in Blogger-blogger mein new post kaise kare-Farooq Arain
Create a New Post in Blogger
 Dosto Post  likhna hahut aasan hai lekin ek achha SEO blog post /Article Publish ke liye ready karna thora sa mushkik kaam hai.Ek achhe article ke liye kafi  search karna parti hai aur sath hi sath article ka SEO bhi karna parta hai

Aaj  ki date mein lakhon karoron log Blogger pe kaam kar rahe hain, har koi janta hai ke blogger mein post kaise ki jati hain lekin hahut se blogger new hain, New Blogger post/Article ko likh lete hain unko post publish karna nahi aata aur kuch to publish bhi kar dete hai Lekin who Search Engine mein rank nahi karta
Dosto main aap ko btane wala hoon ke aap ek achha post kaise likh sakte hain.Aur google search engine me kaise rank karwa sakte hain

Ek achha post kya hota hai

  • Post ka title achha hona chahiye aur 30 se 50 character ka title hona chaheye.Aur title mein namber ko use karna  number kya hote han jaise keh (1.,2,3,4....)    OR     full detail, Full Guide,Top Ten ya Step by Step jaie word ka use karna
  • Post ek acha sa Imge ka use karna aur phir image ka seo karna.
  • Permalink bahut hi important hota hai.Apne post se related word Permalink mein dena hota hai Lekin 3-4 word hone chahiye.Yad rehe ke aap jo bhi word den ge post publish hone ke baad whi word post ke URL dekhne ko mile ga.
  • Search Description : Post ko achha description dena Iss se app ki post ranking mein aaye gi.

  • Aap  ka post unique hone chahiye agar aap unique na hua to Search engine mein achhe se rank nahi kare ga.
  • Post mein heading aur sub hedding aur bold ka istamal karna.
  • Post ko aazan alfaz mein likhna ke visitor ko aasani se samajh aa jay
  • Post ko Lable dena,Yaad rahe ke bhi search engine mein show hota hai,Ye zyada importan nahi hota,Lable aap ke post ki  category  ke liye hota hai
  • Post se Related post ka link lgana aur Post mein keword pe link dena ye point bhut important hai,

Create a New Post in Blogger Step by Step

  1. Blogger.com pe jayen
  2. Top left side mein New Post ka option mile ga, uspe click,jaise keh aap niche photo mein dekh sakte hain
    Create a New Post in Blogger photo-Farooq Arain
    Create a New Post in Blogger photo-Farooq Arain
  3. Sub se uper aap ko Text Box mile ga us mein aap apni post ka title dena hota hai aur niche bre Text Box mein aap ko apne post likhna hoti hai,Jaise ke aap niche dekh sakte hain.
    Create a New Post in Blogger-blogger mein new post kaise kare-JPG-Farooq Arain
    Create a New Post in Blogger-blogger mein new post kaise kare

Post likhne ke liye aap Compose pe click karen, Aap  apne post ke liye diffrent size,fonts aur color add kar sakte hai, aap apne post mein pohoto add kar sakte hain,Video add kar sakre hain aur bohat kuch mil jata hai, Agar aap HTML ke bare mein jante hain to Aap HTML men bhi work kar sakte hain, HTML mein work  karne ke liye HTML pe click karna hota hai.

Post Setting Setp By Step

  • Labels box: Iss box mein aap  ko Apni post ke liye Label dena hota hai, Lable ek catagery ko kehte hain. Ek se zyada post ko bhi ek lable de sakte hain iss tarha who sub ek catagery mein aa jati hain.
  •   Scheule: Agar aap apni post ko fory publish kar den to aapko Schedule ko set karne ka zarurt nahi parti kyun ke ye by default Atuomatic pe hi set rahta ha Lekin Agar aap bizi hain  Ya apni post ko ek khas time  pe publish karna chahte hain to aap Schedule Option mein   ka us kar sakte hian.Schedule mein aap apni post ke liye ek khas time aur date set kar sakte hain,Jo time aap ne set kiya hota hai us time pe aap ki post Automatic Publish ho jay gi.
  •  Parmalik: Sub se inportant hota hai, Aap ko apni post ke liye parmalink dena hota hai,Parmalik  aap ko post title se related hona chahiye aur chota se chota hona chahiye.Aap parmalink mein jo bhi  dalen ge Post Publish hone ke baad post ke URL mein wahi dekhne ko mile ga.
  • Location: Is mein aap ko location dena hoti hai, Agar aap na den to koi baat nahi,
  • Option: is ko aap post me default he rehne dein
  •  Custom Robbots Taggs mein aap ko  All   aur    noodp  ko select karna hai aur Done pe click kara hai

Right corner Option (Publish,Save,Preview aur Close) Step by Step

  • Publish: jab aap apni post ko create kar lete hain aur us ko title ,lable,parmalink,description dene ke bad jab aap lo lagta hai ke ab post ready hain publish ke liye to aap Publish  pe click kar ke apni post ko publish kar sakte hian.
  • Save:  Agar aap apni post ko create kar lete hain aur aap ko lagta hai ky abhi post ready nahi hai to to aap apni post ko save pe click kar ke save kar sakte hain, Aap ko post save ho jay gi lekin publish nahi gi.
  • Preview: Aap ne apni post ko creat kar liye hai aur aap chahte hain ke ke who kaise dikhai de gi publish hone ke bad to aap Preview pe click kar sakte hai aur apni post ka preview le sakte hain.
  • Close: Is option se aap page ko close ka sakte hai, Agar apni post likh  rahe  hote hain aur Close pe clik kar dete hain to aap ki post Draft mein chali jati hai.

To dosto aaj ki post mein bus itna hi tha aapko ye post kaisi lagi, agar aap ka koi sawal hai to aap comments box mein pooch sakte hain,milte hain next Article mein apna khayal rakhna,Good Buy.

1 comment: